Saath Tere Swabhimann ho..
Boond jo rakt ki bahe, dusman dekh behal ho…
Chingari teri ankhon ki jaise tej dhar talwar ho…
ladna pade saari duniya se..
par saath tere swabhimaan ho….
Kheton me hal chale jab tera, bhoomi bhi nihal ho…
Dharti se khilti faslo ko tujhpe aisa abhimaan ho…
chalaana pade akele hi hal..
par saath tere swabhimaan ho…
maati par jab lage haath tere, ban bartan maati gaurvan ho…
dhalte har alag akar me, ek naye yug ki pehchan ho….
jalna pade maati ke sang…
par saath tera swabhimaan ho…
jab farz tera pukare tujhe, rishte bhi kuch pal kurbaan ho…
karne har ek ki rakhsha, safed poshak me tu phir taiyar ho..
parwah na ho phir khudki…
par saath tera swabhimaan ho…
Har muskil me logon ko tujhpe aisa aitbaar ho…
tere haathon bane yantra me, duniya badalne ki hunkaar ho…
karne pade raat din ek…
par saath tere swabhimaan ho…
Phir wo hoga..jo tu chahega….
Raat jab kaali ho jae, kar subah ka intzaar tu..
Jab dushman sir pe aa jae, lad banke talwar tu
Suraj bhi tere liye nikalke aaega,
Aake tujhe khud raasta dikhaega,
Dekh ke teri aankhon me chingari
dushman bhi ghabraega
Phir wo hoga..jo tu chahega….
Phir wo hoga..jo tu chahega…
manzil jab teri dhoondhli lage, kar hawa ka intzaar tu,
hataake man ka kohra, ho phir taiyar tu…
Haath me phir haath aaenge,,
Tere apne tere saath aaenge,
Hoga us tufan ka aagaz…dekh jise
Dushman bhi ghabraega
Phir wo hoga..jo tu chahega….
Phir wo hoga..jo tu chahega…